Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Mein Ruswa Nahin Hua

Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Mein Ruswa Nahin Hua
Itna Mein Chup Hua K Tamaasha Nahin Hua

Aisa Safar Hai Jis Mein Koi Ham'safar Nahin
Rasta Hai Is Tarah Ka K Dekha Nahin Hua

Mushkil Hua Hai Rehna Hamein Is Dayaar Mein
Barson Yaha'n Rahe Hain Ye Apna Nahin Hua

Wo Kaam Shaah-E-Shehar Se Ya Shehar Se Hua
Jo Kaam Bhi Hua Hai Woh Achha Nahin Hua

Milna Tha Us Se Aik Baar Phir Kahin Mujhe
Aesa Mein Chaahta Tha Par Aeisa Nahin Hua

اسی کے متعلق مزید شعر

Copyright 2020 | Anzik Writers